Unkahi Kahani

Image: Science Report
Chadar aurh ke apne rishton pe,
Chala vo rahi ek safar pe,
Apne vaadon to torh ke,
Chala vo ghar baar chorh ke.

Is jahan se nahi lekin,
Apne aap se sawaal poochta,
Ki khud ki parva kare,
Ya apno ka sath vo de.

Jab apne dil se poocha usne,
To sawaal mille ki haan,
Sahi raah pe tha vo,
Jab apno ko dekhne ke kiye,
The aur log, to vo chal diya,
Unki maddad karne jinka,
Koi na tha. Uski unkahi kahani,
Kaash kissi ne sunni hoti,
Kaash uske apno ko bhi,
Uspar naaz hota. Door nahi,
Vo to hamesha unke dillo me,
Nek iraadon me atoot tha.

----

Gagandeep Singh Vaid


Comments

Popular posts from this blog

On fatherhood

a dream that was, and that ended.

Granted by the Lord